chura kar nazar churaai hai
lut gae lut gae duhaai hai
ek din mil ke phir nahi milte
kis quayaamat ki ye judaai hai
ai asar kar na intizaar-e-
maangana sakht be-hayaai hai
main yahan hoon wahan hai dil mera
naa-rasaai ajab rasaai hai
is tarah ahal-e-naaz naaz karein
bandagi hai ki ye khudaai hai
paani pi pi ke tauba karta hoon
paarsaai si paarsaai hai
waada karne ka ikhtiyaar raha
baat karne mein kya buraai hai
kab nikalta hai ab jigar se teer
ye bhi kya teri aashnaai hai
daagh un se dimaagh karte hain
nahi maaloom kya samaai hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera