dekh kar joban tira kis kis ko hairaani hui
is jawaani par jawaani aap deewaani hui
parde parde mein mohabbat dushman-e-jaani hui
ye ki maar kya ai shauque-e-pinhaani hui
ka sauda kar ke un se kya pashemaani hui
quadr us ki phir kahan jis shay ki arzaani hui
mere ghar us shokh ki do din se mehmaani hui
beksi ki aaj kal kya khana-weeraani hui
tark-e-rasm-o-raah par afsos hai donon taraf
ham se naadaani hui yaa tum se naadaani hui
ibtida se intiha tak haal un se kah toh doon
fikr ye hai aur jo kah kar pashemaani hui
gham quayaamat ka nahi waaiz mujhe ye fikr hai
deen kab baaqui raha duniyaa agar faani hui
tum na shab ko aaoge ye hai yaquin aaya hua
tum na maanoge miri ye baat hai maani hui
mujh mein dam jab tak raha mushkil mein the teemaardaar
meri aasaani se sab yaaron ki aasaani hui
is ko kya kahte hain utna hi badha shauque-e-wisaal
jis quadar mashhoor un ki paak-daamaani hui
bazm se uthne ki ghairat baithne se dil ko rashk
dekh kar ghairon ka majma kya pareshaani hui
daawa-e-taskheer par ye us pari-wash ne kaha
aap ka dil kya hua mohar-e-sulemaani hui
khul gain zulfein magar us shokh mast-e-naaz ki
jhoomti baad-e-saba phirti hai mastaani hui
main saraapa sajde karta us ke dar par shauque se
sar se pa tak kyoon na peshaani hi peshaani hui
dil ki qualb-e-maahiyat ka ho use kyoonkar yaquin
kab hawa mitti hui hai aag kab paani hui
aate hi kahte ho ab ghar jaaenge achchhi kahi
ye masal poori yahan man-maani ghar jaani hui
arsa-e-mahshar mein tujh ko dhoond laaoon toh sahi
koi chhup sakti hai jo soorat ho pahchaani hui
dekh kar quatil ka khaali haath bhi ji dar gaya
us ki cheen-e-aastin bhi cheen-e-peshaani hui
kha ke dhoka us but-e-kamsin ne daaman mein liye
ashk-afshaani bhi meri gauhar-afshaani hui
beksi par meri apni tegh ki hasrat toh dekh
chashm-e-jauhar bhi b-shakl-e-chashm-e-hairaani hui
beksi par daagh ki afsos aata hai hamein
kis jagah kis waqt us ki khana-weeraani hui
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera