baaqui jahan mein quais na farhaad rah gaya
afsaana aashiquon ka faquat rah gaya
ye sakht-jan toh quatl se naashaad rah gaya
khanjar chala toh baazoo-e-jallaad rah gaya
paabandiyon ne ki bekas rakha mujhe
main sau aseeriyon mein bhi aazaad rah gaya
chashm-e-sanam ne yoon toh bigaade hazaar ghar
ik kaaba chand roz ko aabaad rah gaya
mahshar mein ja-e-shikwa kiya shukr yaar ka
jo bhoolna tha mujh ko wahi yaad rah gaya
un ki toh ban padi ki lagi jaan muft haath
teri girah mein kya dil-e-naashaad rah gaya
pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar
dil mein buton ka shauque-e-khuda-daad rah gaya
yoon aankh un ki kar ke ishaara palat gai
goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya
naaseh ka ji chala tha hamaari tarah magar
ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya
hain tere dil mein sab ke thikaane bure bhale
main khaanuman-kharaab hi barbaad rah gaya
wo din gae ki thi mire seene mein kuchh kharaash
ab dil kahan hai dil ka nishan yaad rah gaya
soorat ko teri dekh ke khinchati hai jaan-e-khalque
dil apna thaam thaam ke bahzaad rah gaya
ai daagh dil hi dil mein ghule zabt-e-ishq se
afsos shauque-e-naala-o-fariyaad rah gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera