ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadque hoti kabhi nisaar hota
koi fitna ta-quayaamat na phir aashkaar hota
tire pe kaash zaalim mujhe ikhtiyaar hota
jo tumhaari tarah tum se koi jhoote waade karta
tumhin munsifi se kah do tumhein etibaar hota
gham-e-ishq mein mazaa tha jo use samajh ke khaate
ye wo zahar hai ki aakhir mai-e-khush-gawaar hota
ye mazaa tha dil-lagi ka ki baraabar aag lagti
na tujhe quaraar hota na mujhe quaraar hota
na mazaa hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
koi ghair ghair hota koi yaar yaar hota
tire waade par sitamgar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamein etibaar hota
ye wo dard-e-dil nahi hai ki ho chaaraasaaz koi
agar ek baar mitta toh hazaar baar hota
gae hosh tere zaahid jo wo chashm-e-mast dekhi
mujhe kya ulat na dete jo na baada-khwaar hota
mujhe maante sab aisa ki adoo bhi sajde karte
dar-e-yaar kaaba banta jo mira mazaar hota
tumhein naaz ho na kyoonkar ki liya hai daagh ka dil
ye raqam na haath lagti na ye iftikhaar hota
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera