achchhi soorat pe ghazab toot ke aana ka
yaad aata hai hamein haae zamaana ka
tum bhi munh choom lo be-saakhta pyar aa jaae
main sunaaoon jo kabhi dil se fasaana dil ka
nigah-e-yaar ne ki khana-kharaabi aisi
na thikaana hai jigar ka na thikaana dil ka
poori mehandi bhi lagaani nahi aati ab tak
kyoonkar aaya tujhe ghairon se lagaana dil ka
ghuncha-e-gul ko wo mutthi mein liye aate the
main ne poochha toh kiya mujh se bahaana dil ka
in haseenon ka ladakpan hi rahe yaa allaah
hosh aata hai toh aata hai sataana dil ka
de khuda aur jagah seena o pahloo ke siwa
ki bure waqt mein ho jaae thikaana dil ka
meri aaghosh se kya hi wo tadap kar nikle
un ka jaana tha ilaahi ki ye jaana dil ka
nigah-e-sharm ko be-taab kiya kaam kiya
rang laaya tiri aankhon mein samaana dil ka
ungaliyan taar-e-gareban mein ulajh jaati hain
sakht dushwaar hai haathon se dabaana dil ka
hoor ki shakl ho tum noor ke putle ho tum
aur is par tumhein aata hai jalaana dil ka
chhod kar us ko tiri bazm se kyoonkar jaaoon
ik janaaze ka uthaana hai uthaana dil ka
be-dili ka jo kaha haal toh farmaate hain
kar liya tu ne kahin aur thikaana dil ka
baad muddat ke ye ai daagh samajh mein aaya
wahi daana hai kaha jis ne na maana dil ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera