abhi hamaari mohabbat kisi ko kya maaloom
kisi ke ki haqueeqat kisi ko kya maaloom
yaquin toh ye hai wo khat ka jawaab likkhenge
magar nawishta-e-quismat kisi ko kya maaloom
b-zaahir un ko haya-daar log samjhe hain
haya mein jo hai sharaarat kisi ko kya maaloom
quadam quadam pe tumhare hamare ki tarah
basi hui hai quayaamat kisi ko kya maaloom
ye ranj o aish hue hijr o wasl mein ham ko
kahan hai dozakh o jannat kisi ko kya maaloom
jo sakht baat sune dil toh toot jaata hai
is aaeene ki nazaakat kisi ko kya maaloom
kiya karein wo sunaane ko pyar ki baatein
unhein hai mujh se adaawat kisi ko kya maaloom
khuda kare na phanse daam-e-ishq mein koi
uthaai hai jo museebat kisi ko kya maaloom
abhi toh fitne hi barpa kiye hain aalam mein
uthaaenge wo quayaamat kisi ko kya maaloom
janaab-e-daagh ke mashrab ko ham se toh poochho
chhupe hue hain ye hazrat kisi ko kya maaloom
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera