aarzoo hai wafa kare koi
ji na chaahe toh kya kare koi
gar maraz ho dawa kare koi
marne waale ka kya kare koi
koste hain jale hue kya kya
apne haque mein kare koi
un se sab apni apni kahte hain
mera matlab ada kare koi
chaah se aap ko toh nafrat hai
mujh ko chaahe kare koi
us gile ko gila nahi kahte
gar maze ka gila kare koi
ye mili daad ranj-e-furqat ki
aur dil ka kaha kare koi
tum saraapa ho soorat-e-tasweer
tum se phir baat kya kare koi
kahte hain ham nahi khuda-e-kareem
kyoon hamaari khata kare koi
jis mein laakhon baras ki hoorein hon
aisi jannat ko kya kare koi
is jafa par tumhein tamannaa hai
ki miri iltija kare koi
munh lagaate hi daagh itraaya
lutf hai phir jafa kare koi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera