aap ka etibaar kaun kare
roz ka intizaar kaun kare
zikr-e-mehar-o-wafa toh ham karte
par tumhein sharmasaar kaun kare
ho jo us chashm-e-mast se be-khud
phir use hoshiyaar kaun kare
tum toh ho jaan ik zamaane ki
jaan tum par nisaar kaun kare
aafat-e-rozgaar jab tum ho
shikwa-e-rozgaar kaun kare
apni tasbeeh rahne de zaahid
daana daana shumaar kaun kare
mein zahar kha ke mar jaaoon
ka intizaar kaun kare
aankh hai tark-e-zulf hai sayyaad
dekhein dil ka shikaar kaun kare
waada karte nahi ye kahte hain
tujh ko ummeed-waar kaun kare
daagh ki shakl dekh kar bole
aisi soorat ko pyar kaun kare
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera