saba ka narm sa jhonka bhi taaziyaana hua
ye waar mujh pe hua bhi toh ghaaebaana hua
usi ne mujh pe uthaae hain sang jis ke liye
main paash paash hua ghar nigaar-khana hua
jhulas raha tha badan garmi-e-nafas se magar
tire khayaal ka khursheed shaamiyaana hua
khud apne ki khwaahish mujhe azeez rahi
ye tere wasl ka quissa toh ik bahaana hua
ki sard-mizaaji sama gai mujh mein
miri talaash ka sauda payambaraana hua
main ik shajar ki tarah rah-guzar mein thahra hoon
thakan utaar ke tu kis taraf rawaana hua
wo shakhs jis ke liye sher kah raha hoon naseer
ghazal sunaae hue us ko ik zamaana hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.