rache-base hue lamhon se jab hisaab hua
gae dinon ki ruton ka ziyan sawaab hua
guzar gaya toh pas-e-mauj be-kanaari thi
thahar gaya toh wo mujhe saraab hua
supurdagi ke taquaze kahan kahan se padhoon
hunar ke baab mein paikar tira kitaab hua
har aarzoo miri aankhon ki raushani thahri
soch mein gum hain ye kya azaab hua
kuchh ajanbi se lage aashna dareeche bhi
kiran kiran jo ujaalon ka ehtisaab hua
wo yakh-mizaaj raha faaslon ke rishton se
magar gale se lagaaya toh aab aab hua
wo ped jis ke tale rooh gungunaati thi
usi ki chhaanw se ab mujh ko ijtinaab hua
in aandhiyon mein kise mohlat-e-quayaam yahan
ki ek khema-e-jan tha so be-tanaab hua
saleeb-e-sang ho yaa pairhan ke rang naseer
hamare naam se kya kya na intisaab hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.