ki dhoop se chehre ko nikhar jaana tha
aaina dekhne waale tujhe mar jaana tha
mein aise nuquoosh-e-kaf-e-pa bhi aae
main ne daanista jinhein gard-e-safar jaana tha
waham-o-idraak ke har mod pe socha main ne
tu kahan hai mire hamraah agar jaana tha
aaghi zakhm-e-nazaara na bani thi jab tak
main ne har shakhs ko mahboob-e-nazar jaana tha
qurbatein ret ki deewar hain gir sakti hain
mujh ko khud apne hi saae mein thahar jaana tha
tu ki wo tez hawa jis ki tamannaa be-sood
main ki wo khaak jise khud hi bikhar jaana tha
aankh weeraan sahi phir bhi andheron ko naseer
raushani ban ke mire dil mein utar jaana tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.