lab-e-sheerin hai misri yoosuf-e-saani hai ye ladka
na chhodega mera chaah-e-kanaaani hai ye ladka
liya bosa kisi ne aur gareban-geer hai mera
dubaaya chaahta hai sab ko toofaani hai ye ladka
sar oopar laal cheera aur dahan joon ghuncha-e-rangin
-e-muddaa laal-e-badakhshaani hai ye ladka
quayaamat hai jhamak baazoo ke taaweez-e-talaai ki
hisaar-e-husn koon quaim kiya baani hai ye ladka
hue roo-posh us ka husn dekh anjum ke joon khooban
chamakta hai b-rang-e-mehar nooraani hai ye ladka
quayaamat quamat us ka jin ne dekha so hua bismil
magar sar ta quadam tegh-e-sulemaani hai ye ladka
main apna jaan o dil qurban karoon oos par seti naaji
jise dekhein sin hue id ramzaani hai ye ladka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.