kamar ki baat sunte hain ye kuchh paai nahi jaati
kahe hain baat aisi khayaal mein mere nahi aati
jo chaaho sair-e- waqf hai mujh chashm ki kashti
har ek moo-e-palak mera hai goya ghaat khairaati
b-rang us ke nahi mahboob rone ko aashique ke
saaadat khan hai ladka waza kar leta hai barsaati
jo koi asli hai thanda garm yaaquooti mein kyoonkar ho
na laawe taab tere lab ki jo naamard hai zaati
na dekha baagh mein nargis nin tujh koon sharm jaane sin
isi gham mein hui hai sar-nigoon wo waqt nahi paati
kahan mumkin hai naaji sa ki taqwa aur salaah aawe
nigaah-e-mast-e-khooban wo nahi leta kharaabaati
Responses
No comments yet. Be the first to respond.