ka khoj na paaya hargiz dekha khol jo quabron ko
jeete ji dhoonde so paawe khabar karo be-khabron ko
toshak baala posh razaai hai bhoole majnoon barson tak
jab dikhlaawe zulf sajan ki ban mein aawte abron ko
kaafir nafas har ek ka tarsa zar koon paaya bakhton sin
aatish ki pooja mein guzri umr tamaam un gabron ko
mard jo aajiz ho tan man sin kahe khush-aamad baawar kar
mohtaaji ka khaasa hai roobaah kare hai babron ko
waada chook phir aaya naaji dars ki khaatir phadke mat
chhoot gale tere ai zaalim kahan be-sabron ko
Responses
No comments yet. Be the first to respond.