dekh mohan tiri kamar ki taraf
phir gaya maani apne ghar ki taraf
jin ne dekhe tire lab-e-sheerin
us ki nahi shakar ki taraf
hai muhaal un ka daam mein aana
hai maail butan ka zar ki taraf
tere rukhsaar ki safaai dekh
chashm daana ki nain guhar ki taraf
hain khushaamad-talab sab ahal-e-duwal
ghaur karte nain hunar ki taraf
maah-roo ne safar kiya hai jidhar
dil mira hai usi nagar ki taraf
hashr mein paak-baaz hai naaji
bad-amal jaaenge saqar ki taraf
Responses
No comments yet. Be the first to respond.