ai saba kah ki baatein
is but-e--ezaar ki baatein
kis pe chhode nigaah ka shahbaaz
kya kare hai shikaar ki baatein
meharbaani sin yaa hon ghusse sin
pyaari lagti hain yaar ki baatein
chhodte kab hain naqd-e-dil koon sanam
jab ye karte hain pyar ki baatein
poochhiye kuchh kahein hain kuchh naaji
aa padin rozgaar ki baatein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.