zaban rakhta hoon lekin khada hoon
main aawaazon ke ban mein ghir gaya hoon
mire ghar ka dareecha poochhta hai
main saara din kahan phirta raha hoon
mujhe mere siwa sab log samjhein
main apne aap se kam bolta hoon
sitaaron se hasad ki intiha hai
main quabron par charaaghan kar raha hoon
sambhal kar ab hawaaon se ulajhna
main tujh se pesh-tar bujhne laga hoon
miri qurbat se kyoon khaaif hai duniyaa
samundar hoon main khud mein goonjata hoon
mujhe kab tak sametega wo
main andar se bahut toota hua hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.