ye ye paagal dil mira kyoon bujh gaya aawaargi
is dasht mein ik shahar tha wo kya hua aawaargi
kal mujhe be-shakl ki aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai us ne kaha aawaargi
logo bhala is shahar mein kaise jiyenge ham jahan
ho jurm tanha sochna lekin saza aawaargi
ye dard ki tanhaaiyan ye dasht ka weeran safar
ham log toh ukta gae apni suna aawaargi
ik ajanbi jhonke ne jab poochha mire gham ka sabab
sahra ki bheegi ret par main ne likha aawaargi
us samt wahshi khwaahishon ki zad mein paimaan-e-wafa
us samt lahron ki dhamak kachcha ghada aawaargi
kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne khawaab mein
mohsin mujhe raas aaegi shaayad sada aawaargi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.