saare lahje tire be-zaman ek main
is bhare shahar mein raaegan ek main
wasl ke shahar ki raushani ek tu
ke dasht mein kaarwan ek main
bijliyon se bhari baarishein zor par
apni basti mein kachcha makan ek main
hasarton se ate aasman ke tale
jalti-bujhti hui kahakshan ek main
mujh ko faarigh dinon ki amaanat samajh
bhooli-bisri hui daastan ek main
raunquein shor mele jhamele tire
apni ka raaz-dan ek main
ek main apni hi zindagi ka bharam
apni hi maut par nauha-khwan ek main
us taraf sang-baari har ik baam se
is taraf aainon ki dukan ek main
wo nahi hai toh mohsin ye mat sochna
ab bhatakta phiroonga kahan ek main
Responses
No comments yet. Be the first to respond.