saanson ke is hunar ko na aasan khayaal kar
zinda hoon saaaton ko main sadiyon mein dhaal kar
maali ne aaj kitni duaaein wasool kin
kuchh ik faqueer ki jholi mein daal kar
kul yaum-e- zard zamaanon ka yaum hai
shab bhar na jaag muft mein aankhein na laal kar
ai gard-baad laut ke aana hai phir mujhe
rakhna mire safar ki aziyyat sambhaal kar
mehraab mein diye ki tarah zindagi guzaar
munh-zor aandhiyon mein na khud ko nidhaal kar
shaayad kisi ne bukhl-e-zamin par kiya hai tanz
gahre samundaron se jazeere nikaal kar
ye naqd-e-jan ki is ka lutaana toh sahal hai
gar ban pade toh is se bhi mushkil sawaal kar
mohsin barahna-sar chali aai hai shaam-e-gham
ghurbat na dekh is pe sitaaron ki shaal kar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.