phir wahi main hoon wahi shahar-badar sannaata
mujh ko das le na kahin -basar sannaata
dasht-e-hasti mein shab-e- ki sahar karne ko
hijr waalon ne liya rakht-e-safar sannaata
kis se poochhoon ki kahan hai mira rone waala
is taraf main hoon mire ghar se udhar sannaata
tu sadaaon ke bhanwar mein mujhe aawaaz toh de
tujh ko dega mire hone ki khabar sannaata
us ko hangaama-e-manzil ki khabar kya doge
jis ne paaya ho sar-e-raahguzar sannaata
haasil-e-kunj-e-quafas waham-b-kaf tanhaai
raunaque-e-shaam-e-safar ta-b-sahar sannaata
quismat-e-shaair-e-seemaab-sifat dasht ki maut
queemat-e-reza-e-almaas-e-hunar sannaata
jaan-e-mohsin miri taqudeer mein kab likkha hai
doobta chaand tira qurb-e-gazar sannaata
Responses
No comments yet. Be the first to respond.