naya hai shahar nae aasre talaash karoon
tu kho gaya hai kahan ab tujhe talaash karoon
jo dasht mein bhi jalaate the fasl-e- ke charaagh
main shahar mein bhi wahi aable talaash karoon
tu aks hai toh kabhi meri chashm-e-tar mein utar
tire liye main kahan aaine talaash karoon
tujhe hawaas ki aawaargi ka ilm kahan
kabhi main tujh ko tire saamne talaash karoon
ghazal kahoon kabhi saada se khat likhoon us ko
udaas ke liye mashghale talaash karoon
mire wajood se shaayad mile suraagh tira
kabhi main khud ko tire waaste talaash karoon
main chup rahoon kabhi be-wajh hans padoon mohsin
use ganwa ke ajab hausle talaash karoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.