kathin tanhaaiyon se kaun khela main akela
bhara ab bhi mire gaanw ka mela main akela
bichhad kar tujh se main bhar na soya kaun roya
b-juz mere ye dukh bhi kis ne jhela main akela
ye be-aawaaz banjar ban ke baasi ye udaasi
ye dahshat ka jangal ye bela main akela
main dekhoon kab talak manzar suhaane sab puraane
wahi duniyaa wahi dil ka jhamela main akela
wo jis ke khauf se sahra sidhaare log saare
guzarne ko hai toofan ka wo rela main akela
Responses
No comments yet. Be the first to respond.