ham jo pahunche sar-e-maqtal toh ye manzar dekha
sab se ooncha tha jo sar nok-e-sinan par dekha
ham se mat poochh ki kab ubharta hai yahan
ham ne sooraj bhi tire shahar mein aa kar dekha
aise lipte hain dar-o-baam se ab ke jaise
haadson ne badi muddat mein mira ghar dekha
ab ye socha hai ki auron ka kaha maanenge
apni aankhon pe bharosa toh bahut kar dekha
ek ik pal mein utarta raha sadiyon ka azaab
ki raat guzaari hai ki mahshar dekha
mujh se mat poochh miri tishna-labi ke tewar
ret chamki toh ye samjho ki samundar dekha
dukh hi aisa tha ki mohsin hua gum-sum warna
gham chhupa kar use hansate hue aksar dekha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.