faza ka habs shagoofon ko baas kya dega
badan-dareeda kisi ko libaas kya dega
ye ki quahat-e-ana se ghareeb thahra hai
miri zaban ko zar-e-iltimaas kya dega
jo de saka na pahaadon ko barf ki chaadar
wo meri baanjh zamin ko kapaas kya dega
ye shahar yoon bhi toh dahshat bhara nagar hai yahan
dilon ka shor hawa ko hiraas kya dega
wo zakhm de ke mujhe hausla bhi deta hai
ab is se badh ke tabeeat-shanaas kya dega
jo apni zaat se baahar na aa saka ab tak
wo pattharon ko mata-e-hawaas kya dega
wo mere ashk bujhaaega kis tarah
samundaron ko wo sahra ki pyaas kya dega
Responses
No comments yet. Be the first to respond.