ashk apna ki tumhaara nahi dekha jaata
abr ki zad mein sitaara nahi dekha jaata
apni shah-e-rag ka lahoo tan mein rawan hai jab tak
zer-e-khanjar koi pyara nahi dekha jaata
mauj-dar-mauj ulajhne ki hawas be-maani
doobta ho toh sahaara nahi dekha jaata
tere chehre ki kashish thi ki palat kar dekha
warna sooraj toh dobaara nahi dekha jaata
ki zid pe na ja phir se bhadak sakti hai
raakh ki tah mein sharaara nahi dekha jaata
zakhm aankhon ke bhi sahte the kabhi waale
ab toh abroo ka ishaara nahi dekha jaata
kya quayaamat hai ki dil jis ka nagar hai mohsin
dil pe us ka bhi ijaara nahi dekha jaata
Responses
No comments yet. Be the first to respond.