ab wo toofan hai na wo shor hawaaon jaisa
ka aalam hai tire baad khalaaon jaisa
kaash duniyaa mire ehsaas ko waapas kar de
khaamushi ka wahi andaaz sadaaon jaisa
paas rah kar bhi hamesha wo bahut door mila
us ka andaaz-e-taghaaful tha khudaaon jaisa
kitni shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-maaal
khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa
kya quayaamat hai ki duniyaa use sardaar kahe
jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa
phir tiri yaad ke mausam ne jagaae mahshar
phir mire dil mein utha shor hawaaon jaisa
baarha khawaab mein pa kar mujhe pyaasa mohsin
us ki zulfon ne kiya raqs ghataaon jaisa
Responses
No comments yet. Be the first to respond.