zulmat-kade mein mere shab-e- ka josh hai
ik shama hai daleel-e- so khamosh hai
ne muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
muddat hui ki aashti-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiya hai husn-e-khud-aara ko be-hijaab
ai shauqa! han ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai
gauhar ko aqd-e-gardan-e-khooban mein dekhna
kya auj par sitaara-e-gauhar-farosh hai
deedaar baada hausla saaqui nigaah mast
bazm-e-khayaal mai-kada-e-be-kharosh hai
ai taaza waardaan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
zinhaar agar tumhein hawas-e-naae-o-nosh hai
dekho mujhe jo deeda-e-ibrat-nigaah ho
meri suno jo gosh-e-naseehat-neosh hai
saaqui-b-jalwa dushman-e-imaan-o-aaghi
mutrib b-naghma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai
yaa shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisaat
daamaan-e-baaghbaan o kaf-e-gul-farosh hai
luft-e-khiram-e-saaqui o zauque-e-sada-e-chang
ye jannat-e-nigaah wo firdaus-e-gosh hai
yaa subh-dam jo dekhiye aa kar toh bazm mein
ne wo suroor o soz na josh-o-kharosh hai
daagh-e-firaaque-e-sohbat-e-shab ki jali hui
ik shama rah gai hai so wo bhi khamosh hai
aate hain ghaib se ye mazaamin khayaal mein
ghaalib sareer-e-khaama nawa-e-sarosh hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai