zikr us pari-wash ka aur phir bayan apna
ban gaya raqueeb aakhir tha jo raaz-dan apna
mai wo kyoon bahut peete bazm-e-ghair mein yaa rab
aaj hi hua manzoor un ko imtihan apna
ik bulandi par aur ham bana sakte
arsh se udhar hota kaash ke makan apna
de wo jis quadar zillat ham hansi mein taalenge
baare aashna nikla un ka paasban apna
-e-dil likhoon kab tak jaaoon un ko dikhla doon
ungaliyan figaar apni khaama khoon-chakan apna
ghiste ghiste mit jaata aap ne abas badla
nang-e-sajda se mere sang-e-aastan apna
ta kare na ghammaazi kar liya hai dushman ko
dost ki shikaayat mein ham ne ham-zaban apna
ham kahan ke daana the kis hunar mein yakta the
be-sabab hua ghaalib dushman aasman apna
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai