zamaana sakht kam-aazaar hai b-jaan-e-asad
wagarna ham toh tawaqquo ziyaada rakhte hain
tan-e-b-band-e-hawas dar nadaada rakhte hain
-e-z-kaar-e-jahan ooftaada rakhte hain
tameez-e-zishti-o-neki mein laakh baatein hain
b-aks-e-aaina yak-fard-e-saada rakhte hain
b-rang-e-saaya hamein bandagi mein hai tasleem
ki daagh-e- b-jaabeen-e-kushaada rakhte hain
b-zaahidan rag-e-gardan hai rishta-e-zunnaar
sar-e-b-pa-e-but-e-naa-nihaada rakhte hain
muaaf-e-be-hooda-goi hain naasehaan-e-azeez
dil-e-b-dast-e-nigaare nadaada rakhte hain
b-rang-e-sabza azeezaan-e-bad-zabaan yak-dast
hazaar tegh-e-b-zahar-aab-daada rakhte hain
adab ne saumpi hamein surma-saai-e-hairat
z-ban-e-basta-o-chashm-e-kushaada rakhte hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai