zakhm par chhidkein kahan tiflaan-e-be-parwa namak
kya mazaa hota agar patthar mein bhi hota namak
gard-e-raah-e-yaar hai saamaan-e-naaz-e-zakhm-e-
warna hota hai jahan mein kis quadar paida namak
mujh ko arzaani rahe tujh ko mubaarak hojiyo
naala-e-bulbul ka aur khanda-e-gul ka namak
shor-e-jaulan tha kanaar-e-bahar par kis ka ki aaj
gard-e-saahil hai b-zakhm-e-mauj-e-dariya namak
daad deta hai mire zakhm-e-jigar ki waah waah
yaad karta hai mujhe dekhe hai wo jis ja namak
chhod kar jaana tan-e-majrooh-e-aashique haif hai
dil talab karta hai zakhm aur maange hain aaza namak
ghair ki minnat na kheenchoonga pay-e-taufeer-e-dard
zakhm misl-e-khanda-e-quatil hai sar-ta-pa namak
yaad hain ghaalib tujhe wo din ki wajd-e-zauque mein
zakhm se girta toh main palkon se chunta tha namak
is amal mein aish ki lazzat nahi milti asad
zor nisbat mai se rakhta hai azaara ka namak
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai