yak-zarra-e-zamin nahi be-kaar baagh ka
yan jaada bhi fateela hai laale ke daagh ka
be-mai kise hai taaqat-e-aashob-e-aaghi
kheencha hai ijz-e-hausla ne khat ayaagh ka
bulbul ke kaarobaar pe hain khanda-ha-e-
kahte hain jis ko khalal hai dimaagh ka
taaza nahi hai nashsha-e-fikr-e-sukhan mujhe
tiryaaki-e-quadeem hoon dood-e-charaagh ka
sau baar band-e-ishq se aazaad ham hue
par kya karein ki dil hi adoo hai faraagh ka
be-khoon-e-dil hai chashm mein mauj-e-nigah ghubaar
ye mai-kada kharaab hai mai ke suraagh ka
baagh-e-shagufta tera bisaat-e-nashaat-e-dil
abr-e-bahaar khum-kad kis ke dimaagh kaa?
josh-e-bahaar-e-kulfat-e-nazzaara hai asad
hai abr pamba rauzan-e-deewar-e-baagh ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai