hai shaadi mein bhi hangaama-e-yaa-rab mujhe
subha-e-zaahid hua hai khanda zer-e-lab mujhe
hai kushaad-e-khaatir-e-wa-basta dar rahan-e-
tha tilism-e-qufl-e-abjad khana-e-maktab mujhe
yaa rab is aashuftagi ki daad kis se chahiye
rashk aasaaish pe hai zindaaniyon ki ab mujhe
taba hai mushtaaque-e-lazzat-ha-e-hasrat kya karoon
aarzoo se hai shikast-e-aarzoo matlab mujhe
dil laga kar aap bhi ghaalib mujhi se ho gae
ishq se aate the maane meerza saahab mujhe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai