wo miri cheen-e-jabin se -e-pinhan samjha
raaz-e-maktoob b-be-rabti-e-unwan samjha
yak alif besh nahi saiqal-e-aaeena hanooz
chaak karta hoon main jab se ki gareban samjha
sharah-e-asbaab-e-giraftaari-e-khaatir mat poochh
is quadar tang hua ki main zindan samjha
bad-gumaani ne na chaaha use sargarm-e-khiraam
rukh pe har quatra araque deeda-e-hairan samjha
ijz se apne ye jaana ki wo bad-khoo hoga
nabz-e-khas se tapish-e-shola-e-sozan samjha
safar-e-ishq mein ki zof ne raahat-talbi
har quadam saae ko main apne shabistan samjha
tha gurezan miza-e-yaar se dil ta dam-e-marg
daf-e-paikaan-e-quaza is quadar aasan samjha
dil diya jaan ke kyoon us ko wafaadaar asad
ghalti ki ki jo kaafir ko musalman samjha
ham ne wahshat-kada-e-bazm-e-jahan mein joon shama
shola-e-ishq ko apna sar-o-saaman samjha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai