wo firaaque aur wo wisaal kahan
wo -o-roz o maah-o-saal kahan
fursat-e-kaarobaar-e-shauque kise
zauque-e-nazzaara-e- kahan
dil toh dil wo dimaagh bhi na raha
shor-e-sauda-e-khatt-o-khaal kahan
thi wo ik shakhs ke tasawwur se
ab wo raanaai-e-khayaal kahan
aisa aasan nahi lahoo rona
dil mein taaqat jigar mein haal kahan
ham se chhoota quimaar-khana-e-ishq
wan jo jaawein girah mein maal kahan
fikr-e-duniyaa mein sar khapaata hoon
main kahan aur ye wabaal kahan
muzmahil ho gae quawa ghaalib
wo anaasir mein etidaal kahan
bose mein wo muzaaiqua na kare
par mujhe taaqat-e-sawaal kahan
falak-e-sifla be-muhaaba hai
is sitam-gar ko infiaal kahan
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai