wo aa ke khawaab mein taskeen-e-iztiraab toh de
wale mujhe tapish-e- majaal-e-khawaab toh de
kare hai quatl lagaawat mein tera ro dena
tiri tarah koi tegh-e-nigah ko aab toh de
dikha ke jumbish-e-lab hi tamaam kar ham ko
na de jo bosa toh munh se kahin jawaab toh de
pila de ok se saaqui jo ham se nafrat hai
piyaala gar nahi deta na de sharaab toh de
asad khushi se mire haath paanw gae
kaha jo us ne zara mere paanw daab toh de
ye kaun kahwe hai aabaad kar hamein lekin
kabhi zamaana muraad-e-dil-e-kharaab toh de
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai