tu dost kasoo ka bhi sitamgar na hua tha
auron pe hai wo zulm ki mujh par na hua tha
chhoda mah-e-nakhshab ki tarah dast-e-quaza ne
hunooz us ke baraabar na hua tha
taufeeque b-andaaza-e-himmat hai azal se
aankhon mein hai wo quatra ki gauhar na hua tha
jab tak ki na dekha tha quad-e-yaar ka aalam
main motquid-e-fitna-e-mahshar na hua tha
main saada- aazurdagi-e-yaar se khush hoon
yaani sabaque-e-shauque mukarrar na hua tha
dariya-e-maaasi tunuk-aabi se hua khushk
mera sar-e-daaman bhi abhi tar na hua tha
jaari thi asad daagh-e-jigar se miri tahseel
aatish-kada jaageer-e-samundar na hua tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai