tum apne shikwe ki baatein na khod khod ke poochho
hazar karo mire se ki is mein aag dabi hai
dila ye -o-alam bhi toh mughtanim hai ki aakhir
na girya-e-sahri hai na aah-e-neem-shabi hai
nazar b-naqs-e-gadaayan kamaal-e-be-adbi hai
ki khaar-e-khushk ko bhi daawa-e-chaman-nasbi hai
hua wisaal se shauque-e-dil-e-harees ziyaada
lab-e-quadah pe kaf-e-baada josh-e-tishna-labi hai
khusha wo dil ki saraapa tilism-e-be-khabri ho
junoon o yaas o alam rizque-e-muddaa-talbi hai
chaman mein kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamaasha
ki barg barg-e-saman sheesha reza-e-halbi hai
imaam-e-zaahir-o-baatin ameer-e-soorat-o-maani
ali wali asdullaah jaansheen-e-nabi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai