taskin ko ham na roein jo zauque-e- mile
hooraan-e-khuld mein tiri soorat magar mile
apni gali mein mujh ko na kar dafn baad-e-quatl
mere pate se khalque ko kyoon tera ghar mile
saaqui-gari ki sharm karo aaj warna ham
har piya hi karte hain mai jis quadar mile
tujh se toh kuchh kalaam nahi lekin ai nadeem
mera salaam kahiyo agar naama-bar mile
tum ko bhi ham dikhaaein ki majnoon ne kya kiya
fursat kashaakash-e-gham-e-pinhan se gar mile
laazim nahi ki khizr ki ham pairwi karein
jaana ki ik buzurg hamein ham-safar mile
ai saakinaan-e-koocha-e-dildaar dekhna
tum ko kahin jo ghaalib-e-aashufta-sar mile
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai