tapish se meri waqf-e-kashamkash har taar-e-bistar hai
mira sar ranj-e-baalin hai mira tan baar-e-bistar hai
sarishk-e-sar b-sahra daada -ul-ain-e-daaman hai
-e-be-dast-o-pa uftaada bar-khurdaar-e-bistar hai
khusha iqubaal-e-ranjoori ayaadat ko tum aae ho
farog-e-sham-e-baalin farog-e-shaam-e-baalin hai
b-toofan-gaah-e-josh-e-iztiraab-e-shaam-e-tanhaai
shua-e-aaftaab-e-subh-e-mahshar taar-e-bistar hai
abhi aati hai boo baalish se us ki zulf-e-mushkin ki
hamaari deed ko khawaab-e-zulekha aar-e-bistar hai
kahoon kya dil ki kya haalat hai hijr-e-yaar mein ghaalib
ki betaabi se har-yak taar-e-bistar khaar-e-bistar hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai