surma-e-muft-e- hoon miri queemat ye hai
ki rahe chashm-e-khareedaar pe ehsan mera
rukhsat-e-naala mujhe de ki mabaada zaalim
tere chehre se ho zaahir -e-pinhan mera
khalwat-e-aabla-e-pa mein hai jaulan mera
khoon hai dil tangi-e-wahshat se bayaaban mera
hasrat-e-nashsha-e-wahshat na b-sai-e-dil hai
arz-e-khamyaaza-e-majnoon hai gareban mera
faham zanjeeri-e-be-rabti-e-dil hai yaa-rab
kis zaban mein hai laqab khawaab-e-pareshan mera
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai