siyaahi jaise gir jaae dam-e-tahreer kaaghaz par
miri quismat mein yoon tasweer hai -ha-e-hijran ki
kahoon kya garm-joshi mai-kashi mein shola-rooyan ki
ki sham-e-khana-e- aatish-e-mai se farozan ki
hamesha mujh ko tifli mein bhi mashque-e-teerah-rozi thi
siyaahi hai mire ayyaam mein lauh-e-dabistan ki
daregh aah-e-sahar-gah kaar-e-baad-e-subh karti hai
ki hoti hai ziyaada sard-mehri shama-rooyan ki
mujhe apne junoon ki be-takalluf parda-daari thi
w-lekin kya karoon aawe jo ruswaai gareban ki
hunar paida kiya hai main ne hairat-aazmaai mein
ki jauhar aaine ka har palak hai chashm-e-hairan ki
khudaaya kis quadar ahal-e-nazar ne khaak chhaani hai
ki hain sad-rakhna joon ghirbaal deewaarein gulistan ki
hua sharm-e-tahi-dasti se se wo bhi sar-nigoon aakhir
bas ai zakhm-e-jigar ab dekh le shorish namak-dan ki
bayaad-e-garmi-e-sohbat b-rang-e-shola dahke hai
chhupaaoon kyoonki ghaalib sozishein daagh-e-numaayan ki
junoon tohmat-kash-e-taskin na ho gar shaadmaani ki
namak-paash-e-kharaash-e-dil hai lazzat zindagaani ki
kashaakash-ha-e-hasti se kare kya sai-e-aazaadi
hui zanjeer-e-mauj-e-aab ko fursat rawaani ki
na kheench ai sai-e-dast-e-naa-rasa zulf-e-tamannaa ko
pareshan-tar hai moo-e-khaama se tadbeer maani ki
kahan ham bhi rag-o-pai rakhte hain insaaf bahattar hai
na kheenche taaqat-e-khamyaaza tohmat naa-tawaani ki
takalluf-baratraf farhaad aur itni subu-dasti
khayaal aasan tha lekin khawaab-e-khusraw ne giraani ki
pas-az-murdan bhi deewaana ziyaarat-gaah-e-tiflan hai
sharaar-e-sang ne turbat pe meri gul-fishaani ki
asad ko boriye mein dhar ke phoonka mauj-e-hasti ne
faqueeri mein bhi baaqui hai sharaarat naujwaani ki
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai