shab ki barque-e-soz-e- se zahra-e-abr aab tha
shola-e-jawwaala har yak halqua-e-girdaab tha
wan karam ko uzr-e-baarish tha inan-geer-e-khiraam
girye se yan pumba-e-baalish kaf-e-sailaab tha
wan khud-aaraai ko tha moti pirone ka khayaal
yan hujoom-e-ashk mein taar-e-nigah naayaab tha
jalwa-e- ne kiya tha wan charaaghan aabjoo
yan rawan mizgaan-e-chashm-e-tar se khoon-e-naab tha
yan sar-e-pur-shor be-khwaabi se tha deewar-joo
wan wo farque-e-naaz mahaw-e-baalish-e-kim-khawaab tha
yan nafas karta tha raushan sham-e-bazm-e-be-khudi
jalwa-e-gul wan bisaat-e-sohbat-e-ahbaab tha
farsh se ta arsh wan toofan tha mauj-e-rang ka
yan zamin se aasman tak sokhtan ka baab tha
naa-gahan is rang se khoonaaba tapkaane laga
dil ki zauque-e-kaawish-e-naakhun se lazzat-yaab tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai