khumaar-e-shauque-e-saaqui rustakhez-andaaza tha
ta-muheet-e-baada soorat khana-e-khamyaaza tha
yak quadam wahshat se dars-e-daftar-e-imkan khula
jaada ajza-e-do-aalam dasht ka sheeraaza tha
maana-e-wahshat-khiraami-ha-e-laila kaun hai
khana-e-majnoon-e-sahra-gard be-darwaaza tha
poochh mat ruswaai-e-andaaz-e-istighna-e-
dast marhoon-e-hina rukhsaar rahan-e-ghaaza tha
naala-e-dil ne diye auraaque-e-lakht-e-dil b-baad
yaad-gaar-e-naala ik deewaan-e-be-sheeraaza tha
hoon charaaghaan-e-hawas joon kaaghaz-e-aatish-zada
daagh garm-e-koshish-e-ijaad-e-daagh-e-taaza tha
be-nawaai tar sada-e-naghma-e-shohrat asad
boriya yak neestan-aalam buland aawaaza tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai