saraapa rehan--o-naa-guzeer-ulfat-hasti
ibaadat barque ki karta hoon aur afsos haasil ka
b-quadr-e-zarf hai saaqui khumaar-e-tishna-kaami bhi
jo tu dariya-e-mai hai toh main khamyaaza hoon saahil ka
zi-bas khoon-gasht-e-rashk-e-wafa tha waham bismil ka
churaaya zakhm-ha-e- ne paani tegh-e-quatil ka
nigaah-e-chashm-e-haasid waam le ai zauque-e-khud-beeni
tamaashaai hoon wahdat-khana-e-aaeena-e-dil ka
sharar-fursat nigah saamaan-e-yak-aalam charaaghan hai
b-quadr-e-rang yan gardish mein hai paimaana mahfil ka
saraasar taakhtan ko shash-jihat yak-arsa jaulan tha
hua waamaandagi se rah-rawan ki farque manzil ka
mujhe raah-e-sukhan mein khauf-e-gum-raahi nahi ghaalib
asa-e-khizr-e-sahra-e-sukhan hai khaama be-dil ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai