sar-gashtagi mein aalam-e-hasti se yaas hai
taskin ko de nawed ki marne ki aas hai
leta nahi mire -e-aawaara ki khabar
ab tak wo jaanta hai ki mere hi paas hai
keejiye bayan suroor-e-tap-e- kahan talak
har moo mire badan pe zabaan-e-sipaas hai
hai wo ghuroor-e-husn se begaana-e-wafa
har-chand us ke paas dil-e-haque-shanaas hai
pi jis quadar mile shab-e-mahtaab mein sharaab
is balaghmi-mizaaj ko garmi hi raas hai
har ik makaan ko hai makin se sharaf asad
majnoon jo mar gaya hai toh jangal udaas hai
kya gham hai us ko jis ka ali sa imaam ho
itna bhi ai falak-zada kyoon bad-hawaas hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai