sab kahan kuchh laala-o- mein numaayan ho gain
mein kya soortein hongi ki pinhan ho gain
yaad thin ham ko bhi ranga-rang bazm-aaraaeeyan
lekin ab naqsh-o-nigaar-e-taaque-e-nisyan ho gain
thin banaat-un-naash-e-gardun din ko parde mein nihan
shab ko un ke ji mein kya aai ki uryan ho gain
quaid mein yaaquoob ne li go na yoosuf ki khabar
lekin aankhein rauzan-e-deewar-e-zindan ho gain
sab raqueebon se hon naa-khush par zanaan-e-misr se
hai zulekha khush ki mahaw-e-maah-e-kanaan ho gain
joo-e-khoon aankhon se bahne do ki hai shaam-e-firaaque
main ye samjhoonga ki shamaein do farozan ho gain
in pari-zaadon se lenge khuld mein ham intiquam
qudrat-e-haque se yahi hoorein agar wan ho gain
neend us ki hai dimaagh us ka hai raatein us ki hain
teri zulfein jis ke baazoo par pareshan ho gain
main chaman mein kya gaya goya dabistan khul gaya
bulbulein sun kar mire naale ghazal-khwan ho gain
wo nigaahein kyoon hui jaati hain yaa-rab dil ke paar
jo miri kotaahi-e-quismat se mizgan ho gain
bas-ki roka main ne aur seene mein ubhrin pai-b-pai
meri aahein bakhiya-e-chaak-e-gareban ho gain
wan gaya bhi main toh un ki gaaliyon ka kya jawaab
yaad thin jitni duaaein sarf-e-darban ho gain
jan-fiza hai baada jis ke haath mein jaam aa gaya
sab lakeerein haath ki goya rag-e-jan ho gain
ham muwahhid hain hamaara kesh hai tark-e-roosoom
millatein jab mit gain ajza-e-iman ho gain
ranj se khoogar hua insan toh mit jaata hai ranj
mushkilein mujh par padin itni ki aasan ho gain
yoon hi gar rota raha ghaalib toh ai ahal-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki weeran ho gain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai