saadgi par us ki mar jaane ki hasrat mein hai
bas nahi chalta ki phir khanjar kaf-e-quatil mein hai
dekhna taqureer ki lazzat ki jo us ne kaha
main ne ye jaana ki goya ye bhi mere mein hai
garche hai kis kis buraai se wale baain-hama
zikr mera mujh se behtar hai ki us mahfil mein hai
bas hujoom-e-naa-umeedi khaak mein mil jaaegi
ye jo ik lazzat hamaari sai-e-be-haasil mein hai
ranj-e-rah kyoon kheenchiye waamaandagi ko ishq hai
uth nahi sakta hamaara jo quadam manzil mein hai
jalwa zaar-e-aatish-e-dozakh hamaara dil sahi
fitna-e-shor-e-quayaamat kis ke aab-o-gil mein hai
hai dil-e-shoreeda-e-ghaalib tilism-e-pech-o-taab
raham kar apni tamannaa par ki kis mushkil mein hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai