rone se aur mein bebaak ho gae
dhoe gae ham itne ki bas paak ho gae
sarf-e-baha-e-mai hue aalaat-e-mai-kashi
the ye hi do hisaab so yoon paak ho gae
ruswa-e-dahar go hue aawaargi se tum
baare tabeeaton ke toh chaalaak ho gae
kahta hai kaun naala-e- ko be-asar
parde mein gul ke laakh jigar chaak ho gae
poochhe hai kya wajood o adam ahal-e-shauque ka
aap apni aag ke khas-o-khaashaak ho gae
karne gae the us se taghaaful ka ham gila
ki ek hi nigaah ki bas khaak ho gae
is rang se uthaai kal us ne asad ki naash
dushman bhi jis ko dekh ke ghamnaak ho gae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai