rashk kahta hai ki us ka ghair se ikhlaas haif
aql kahti hai ki wo be-mehar kis ka aashna
zarra zarra saaghar-e-mai-khana-e-nai-rang hai
gardish-e-majnoon b-chashmak-ha-e-laila aashna
shauque hai saaman-taraaz-e-naazish-e-arbaab-e-ajz
zarra sahra-dast-gaah o quatra -aashna
main aur ek aafat ka tukda wo -e-wahshi ki hai
aafiyat ka dushman aur aawaargi ka aashna
shikwa-sanj-e-rashk-e-ham-deegar na rahna chahiye
mera zaanoo monis aur aaeena tera aashna
kohkan naqquash-e-yak-timsaal-e-sheerin tha asad
sang se sar maar kar howe na paida aashna
khud-parasti se rahe baaham-digar naa-aashna
beksi meri shareek aaeena tera aashna
aatish-e-moo-e-dimaagh-e-shauque hai tera tapaak
warna ham kis ke hain ai daagh-e-tamannaa aashna
jauhar-e-aaeena juz ramz-e-sar-e-mizgan nahi
aashna ki ham-digar samjhe hai ima aashna
rabt-e-yak-sheeraaza-e-wahshat hain ajza-e-bahaar
sabza begaana saba aawaara gul naa-aashna
be-dimaaghi shikwa-sanj-e-rashk-e-ham-deegar nahi
yaar tera jaam-e-mai khamyaaza mera aashna
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai